Sardar Bhagat Singh’s Urdu letter to his brother Kultar Singh (from jail on 3rd March 1931)
Sardar Bhagat Singh’s Urdu letter to his brother Kultar Singh (from jail on 3rd March 1931)
Azeez Kultar
Aaj Tumhari Ankhon Mein Ansu Dekh Kar Bahut Ranj Hua
Aaj Tumhari Baat Mein Bahut Dard Tha
Tumhare Ansu Mujhse Bardasht Nahi Hote.
Barkhurdar, Himmat Se Taalim Haasil Karte Jaana, Aur Sehat Ka Khyal Rakhna.
Hausla Rakhna.
#BhagatSingh ' hand-written letter from jail in #Urdu to his younger brother Kultar Singh on March 3, 1931. #ShaheedBhagatSingh pic.twitter.com/rtnVEtDdHt
— Heritage Times (@HeritageTimesIN) September 26, 2018
(Bhagat Singh quotes)
“Unhe Yeh Fikr Hai Har Dam Nayi Tarz-e-Jafa Kya Hai,
Humein Yeh Shouq Hai Dekhein Sitam Ki Inteha Kya Hai.”
“Dahar Se Kyun Khafa Rahen, Charkh Ka Kya Gila Kare
Humara Jahan Adoo Sahi, Aao! Muqabla Karein!”
“Koi Dum Ka Mehman Hun Aye Ahl-e-Mehfil,
Chiragh-e-Seher Hun Bujha Chahta Hun”
“Mere Hawa Mein Rahegi Khayal Ki Bijli,
Yeh Musht-e-Khaak Hai Faani, Rahe Rahe, Na Rahe”
Achha Rukhsat!
“Khush Raho Ahl e Watan Hum Toh Safar Karte Hain”
Hausle se Rehna, Namaste. Tumhara Bhai, Bhagat Singh.